Kya door gaya kya paas raha,
Duniya se main anjaan raha,
Kuch log mile hain kabhi mujhe,
Ye yaad raha, ehsaas raha,
Yun hua wo hamse juda huye,
daaman mein Unke dil bezaar raha
shab ye nikle andheri magar,
sehar ka ab bhi nishaan raha
go dekha ho roz humne usko
wo rukhsar hasin khwab raha
tum khuda ko lekar ladte ho,
uske bandon mein pyar raha?
Anjaam-e-mehfil kisne dekha,
Dekho jo ab tak aagaaz raha
kuch be-asar sharab hai,
labon pe tera shabab raha,
sada majboor ye halaat rahe,
Aur dafan ye jazbaat raha,
Ameer-o-gareeb,bhala-o-bura,
Sab ki manzil shamshan raha,
Kudrat ho khadi qayamat pe,
Wo kyun badle, insaan raha
Gar ishq kiya to hue khuda,
Nafrat se bhara haivaan raha
Kyun dehar na aayee raas use,
'abhi' hairan raha, pareshan raha
comments are open :)
Thursday, March 22, 2007
Duniya se main anjaan raha
Posted by Abhi at 7:21 PM 17 comments
Subscribe to:
Posts (Atom)